every thing is easy.. when u crazy about it....,, ALLHAMDULILLAH FOR EVERY THING..

Sunday, 5 March 2017

PAKISTAN SUPER LEAGUE KA FINAL LAHORE MA....


Pakistan super league ka agaaz 2016 ma hua....yeah pakistan ma cricket jese kheel ko farogh dene ka behtareeb tareeqa tha...jis ma na sirf pakistani khelari balke gheer mulki khelariyon na bhe khoob hisa liya...

takreeban tamam hi mulkon sa khelariyon na PSL ma hisa liya siwae INDIA ka....

PSl..ma pakistan ka har sube ki ek alag team ha...sindh sa KARACHI KINGS ,  panjab sa LAHORE QALANDER, kpk sa PESHAWAR ZALMI,, balochistan sa QUETTA GELADIATORS, jabke islamabad ki ek apni team thi.. ISLAMABAD UNITED...

Tamam teams ka malikan behtareen pakistani or gheer mulki khelariyon ka intekhaaab kiya...albata.. 2016 ka PSL ma tamam teams ki captaan pakistan khelari hi the...

2016 ma tamam teams na behtareen khel ka muzahira kiya....or islamabad united or quetta geladiators apni umdah karkardagi ka bad final ma pouchi..... chunacha .... 2016 ka PSL ka final  islamabad united jeeti......

                 

LAKIN...2017 ka PSL ka final ki ha ek or khaas baat..... IS baar PSL  ka final kaheen or nai balke PAKISTAN  ma khela ja raha ha.....be inteha security kadshaat ka bawajood hukumat pakistan  na 100% security dene ka wada or pak fouj na bhe bahrpoor tawun kiya...lehaza 5 MARACH 2017 ko PSL  ka final lahore ka qaddafi stadium ma khela gaya....



IS baar PSL 2017 ka final tak rasai.....PESHAWAR ZALMI OR ek baar phr PSL ki behtareen team QUEETA  GALADIATORS   ki hue ha......wazeh rahe ka security kadshaat ki waja sa queeta ma khelne wale gheer mulki khelariyon na final ma aane sa inkaar kar diya tha...jabke peshawar zalmi ki janib sa khelne wale tamam gair mulki khelari  team ma shamil rahe....

IS moke par...tamam senior khelariyon or siyasi leaders ka kehna tha ka PSL ka final lahore ma hone sa pakistan ma international cricket dubara sa pakistan ma bahaal hogi...

jabke...final ka moke par qaddafi stadium ma match sa pehle ranga rang taqreeb ka ineqaad bhe kiya gaya...jis ma showbiz sa taluq rakhne bohot c eham shaksiyat na bhe shirkat ki.....

Bil akhir...... dono teams ki zabardast khel ka muzahire ka baad... PESHAWAR ZALMI FATEH raha...jabke is baar bhe qismat na quetta galadiators ka sath nai diya...

IS TARHAN PSL2016 ISLAMABD UNITED

OR...PSL 2017 PESHAWAR ZALMI ka naam raha.....

pakistan zindabad....


                                                                                                                                                                       
                                                 



        SUCHI  KHUSHI.....

uffff.... Aj subha sa hi mausam bohot ajeeb sa tha....subha uthi thi to sardi lag rahi thi..... or ab itni teez dhoop ha... Din bhe kuch khas nai guzra tha..bus masroofiyat hi rahi thi.......

Shukar ha... aj ven jaldi aa gae ha... jaldi ghar pouch jaon gi or phr aram karn gi.... ven ma bethne ka bad sakoon ki saans lete hue us na socha.... albata.. tamam ven ma bethi baki tamam larkiyon ka muh par thakan c tari thi....kuch apne apne cell phone ma masroof hogae thi..to kuch ek dusre ko apne pure din ki dastaaan suna rahi thi....

BAJI... PAISE DA DO..... wo khirki ka sath bethi bari goor sa kisi kitaab ka mutala kar rahi thi ka  kuch mangne wale bachon ki awaaz pa chonki, or bahar deakhne lagi.... uski mushahidati ankheen kitaab ko chor kar  un che`roon ko parhne lagi....

BAJI D do na ALLAH kare teri shadi hojae...!  wo musalsal awazeen lagae ja rahe the......tamam larkiyaan unki duaon ko sun kar hasne lagi jese ka kisi na unke dill ki baat keh di ho....

AB  faqeeron ko bhe pata ha ka khawateen kon c duaon pa khush ho kar paise deti hen, isliye a c duaen dete hen......... EK larki na us moke par apne khayalat ka izhaar kiya.... baki sab hasne muskurane ma lagi rahi....

traffic  khatam hua to ven tezi sa apni mazli ki janib barhne lagi.....larkiyaan bhe apne apne kamo ma masroof hogae...

LAKIN .....uski mushahidati Ankheen abhi tak un bachoon ki chmaki ankhoon or khushi sa bhare che`roon ko parhne ma masroof thi....ji bheek mangne ka bawajood bhe khushi sa damak rahe the... yeah che`re un che`roon sa kahi ziyada roshaan the jinke pass sab kuch tha har aram... har asahish....

WO apne haal ma khush the...unki ankhoon ma khuwahishataat ka bajae khushi ki chamak thi....

SHAYAAD ise hi SUCHI  KHUSHI kehte hen........


                                                                                                                               

Sunday, 26 February 2017

 KARACHI LITERATUE FESTIVAL 2017




Roshniyon  ka sehar karachi ki ha haar baat nirali.....

KARACHI  LITERATURE  FESTIVAL... pakistan ka sab sa bara adbi mela ha..jo karachi ka ilawa islamabad ma munaqid kiya jata ha... yeah adbi mela pakistan ki tehzeeb or sakhafat ko farogh deta ha...

karachi ka yeah salana adbi melaa taqreeban 8 saal isi tarhaan sajaya ja raha ha..jiska cradit oxford universty press jo jata ha... karachi ka yeah adbi mela na sirf adiboon, balke boht sa nae adeeb or urdu adaab sa dilchaspi rakhne walon ka liye behtareen platform ha..is adbi ka mela ka dusra maqsad nojawan nasaal ko adab sa dulchaspi paida karwana bhe ha...

har saal ki tarhaan is saal bhe beach luxury hotal ma munaqid hua..jis ma is saal tareeban 2 lakh sa ziyada logon na shirkat ki..

AYESHA JALAL, MUHAMMAD HANIF, OR MUSTANSAR HUSSAIN TARAR is adbi mela ki ba asar shaksiyat ma sa the....iske ilawa  adab sa taluk  or dilchaspi rakhne wali boht si eham shaksiyat na bhe is adbi mela ma shirkat ki.....

MASHOOR O MAROOF FILMI adakara SHABNAM....... na bhe is baar adbi mela ma shirkat kar ka adbi mela ma chaar chand laga diye...


IS baar karachi literature festival ma 18 book launches....70 sessions munaqid hue......jabke behtareen kitaboon sa bhare stalls bhe hazreen ki tawaja ka markaz rahe....

karachi literature fastival adaab ki dunya ko zinda rakhne ki ek behtareen kawish ha.......

HAREEM KHAN...

pakistan ma maqbool hone wale balochi zewarat....


pakistan ek taraqi wafta mulk ha...yahan ka sehar yahan ka log....yahan ki tehzeeb puri dunya ma mashoor ha...

wese to pakistan ka 4 sube hen or har sube ki apni ek ehmiyat ha... lakin yeh kehna galat nai hoga ka pakistan ka har sehar har sube ka ek apna rung..apna fashion..apni tehzeeb or apni sakafat ha....

lakin ab zamana teezi sa badal raha ha...ham roz apne ird gird kuch naya kuch mukhtlif hote deakh rahe hen...jese ka kuch mukhtalif fashion.......

jeee haan....! PAKISTAN ma ae din hame koi na koi naya fashion nazar aa raha hota ha.... na sirf khawateen ma balke bachon or mard hazrat ma bhe...

fashion trends waqt or logon ka hisaab sa teezi sa badalte rehte hen..or pakistan ka log khule dill sa har fashion ko apnate hen...ab new fashion trend ko apnana itna mushkil nai...yeh kam media na boht hi asaan kar diya ha..ab ap ghar bethe har qisam ka fashion ko deakh sakhte hen...

JESE AJ KAL...BALOCHI ZEWARAT... media pa chae hue hen...balochi zewarat ka haseen or dillkash design na pakistani ki khawateen ka dilooon pa raaj kiya hua ha..or ajkal ham bari tadad ma kapron ma balochi sakafat ka rang deakh rahe hen.... 

balochi matha pati larkiyon ma teezi sa maqbool ho rahi ha... jis pa unka kehna ha ka yeh mathe pa saaj ka unke hussun ma chaaar chand laga deti ha..iska ilawa bhe balochi zewarat kafi maqbool hote dekhai dete hen. jis sa is baat ka andaza lagaya ja sakta ha ka ab balochi sakafat ko na srf balochi khawateen balke pure mulk ma khawateen apna rahi hen...

balochi zewarat ka pakistan ma teezi sa maqbool hone ka bad sadder empress market ka dukaan daron ka kehna ha ka balochi zewarat ki khareed o farokht ma izafa hua ha...

PAKISTAN KI KOI MISAAL NAI..

PAKISTAN HAR CHEEZ MA APNI MISAAL AP HA..



HAREEM KHAN....