Roshniyon ka sehar karachi ki ha haar baat nirali.....
KARACHI LITERATURE FESTIVAL... pakistan ka sab sa bara adbi mela ha..jo karachi ka ilawa islamabad ma munaqid kiya jata ha... yeah adbi mela pakistan ki tehzeeb or sakhafat ko farogh deta ha...
karachi ka yeah salana adbi melaa taqreeban 8 saal isi tarhaan sajaya ja raha ha..jiska cradit oxford universty press jo jata ha... karachi ka yeah adbi mela na sirf adiboon, balke boht sa nae adeeb or urdu adaab sa dilchaspi rakhne walon ka liye behtareen platform ha..is adbi ka mela ka dusra maqsad nojawan nasaal ko adab sa dulchaspi paida karwana bhe ha...
har saal ki tarhaan is saal bhe beach luxury hotal ma munaqid hua..jis ma is saal tareeban 2 lakh sa ziyada logon na shirkat ki..
AYESHA JALAL, MUHAMMAD HANIF, OR MUSTANSAR HUSSAIN TARAR is adbi mela ki ba asar shaksiyat ma sa the....iske ilawa adab sa taluk or dilchaspi rakhne wali boht si eham shaksiyat na bhe is adbi mela ma shirkat ki.....
MASHOOR O MAROOF FILMI adakara SHABNAM....... na bhe is baar adbi mela ma shirkat kar ka adbi mela ma chaar chand laga diye...
IS baar karachi literature festival ma 18 book launches....70 sessions munaqid hue......jabke behtareen kitaboon sa bhare stalls bhe hazreen ki tawaja ka markaz rahe....
karachi literature fastival adaab ki dunya ko zinda rakhne ki ek behtareen kawish ha.......
HAREEM KHAN...
No comments:
Post a Comment