Journey of Life
Sunday, 5 March 2017
SUCHI KHUSHI.....
uffff.... Aj subha sa hi mausam bohot ajeeb sa tha....subha uthi thi to sardi lag rahi thi..... or ab itni teez dhoop ha... Din bhe kuch khas nai guzra tha..bus masroofiyat hi rahi thi.......
Shukar ha... aj ven jaldi aa gae ha... jaldi ghar pouch jaon gi or phr aram karn gi.... ven ma bethne ka bad sakoon ki saans lete hue us na socha.... albata.. tamam ven ma bethi baki tamam larkiyon ka muh par thakan c tari thi....kuch apne apne cell phone ma masroof hogae thi..to kuch ek dusre ko apne pure din ki dastaaan suna rahi thi....
BAJI... PAISE DA DO..... wo khirki ka sath bethi bari goor sa kisi kitaab ka mutala kar rahi thi ka kuch mangne wale bachon ki awaaz pa chonki, or bahar deakhne lagi.... uski mushahidati ankheen kitaab ko chor kar un che`roon ko parhne lagi....
BAJI D do na ALLAH kare teri shadi hojae...! wo musalsal awazeen lagae ja rahe the......tamam larkiyaan unki duaon ko sun kar hasne lagi jese ka kisi na unke dill ki baat keh di ho....
AB faqeeron ko bhe pata ha ka khawateen kon c duaon pa khush ho kar paise deti hen, isliye a c duaen dete hen......... EK larki na us moke par apne khayalat ka izhaar kiya.... baki sab hasne muskurane ma lagi rahi....
traffic khatam hua to ven tezi sa apni mazli ki janib barhne lagi.....larkiyaan bhe apne apne kamo ma masroof hogae...
LAKIN .....uski mushahidati Ankheen abhi tak un bachoon ki chmaki ankhoon or khushi sa bhare che`roon ko parhne ma masroof thi....ji bheek mangne ka bawajood bhe khushi sa damak rahe the... yeah che`re un che`roon sa kahi ziyada roshaan the jinke pass sab kuch tha har aram... har asahish....
WO apne haal ma khush the...unki ankhoon ma khuwahishataat ka bajae khushi ki chamak thi....
SHAYAAD ise hi SUCHI KHUSHI kehte hen........
Sunday, 26 February 2017
Roshniyon ka sehar karachi ki ha haar baat nirali.....
KARACHI LITERATURE FESTIVAL... pakistan ka sab sa bara adbi mela ha..jo karachi ka ilawa islamabad ma munaqid kiya jata ha... yeah adbi mela pakistan ki tehzeeb or sakhafat ko farogh deta ha...
karachi ka yeah salana adbi melaa taqreeban 8 saal isi tarhaan sajaya ja raha ha..jiska cradit oxford universty press jo jata ha... karachi ka yeah adbi mela na sirf adiboon, balke boht sa nae adeeb or urdu adaab sa dilchaspi rakhne walon ka liye behtareen platform ha..is adbi ka mela ka dusra maqsad nojawan nasaal ko adab sa dulchaspi paida karwana bhe ha...
har saal ki tarhaan is saal bhe beach luxury hotal ma munaqid hua..jis ma is saal tareeban 2 lakh sa ziyada logon na shirkat ki..
AYESHA JALAL, MUHAMMAD HANIF, OR MUSTANSAR HUSSAIN TARAR is adbi mela ki ba asar shaksiyat ma sa the....iske ilawa adab sa taluk or dilchaspi rakhne wali boht si eham shaksiyat na bhe is adbi mela ma shirkat ki.....
MASHOOR O MAROOF FILMI adakara SHABNAM....... na bhe is baar adbi mela ma shirkat kar ka adbi mela ma chaar chand laga diye...
IS baar karachi literature festival ma 18 book launches....70 sessions munaqid hue......jabke behtareen kitaboon sa bhare stalls bhe hazreen ki tawaja ka markaz rahe....
karachi literature fastival adaab ki dunya ko zinda rakhne ki ek behtareen kawish ha.......
HAREEM KHAN...
pakistan ma maqbool hone wale balochi zewarat....
pakistan ek taraqi wafta mulk ha...yahan ka sehar yahan ka log....yahan ki tehzeeb puri dunya ma mashoor ha...
wese to pakistan ka 4 sube hen or har sube ki apni ek ehmiyat ha... lakin yeh kehna galat nai hoga ka pakistan ka har sehar har sube ka ek apna rung..apna fashion..apni tehzeeb or apni sakafat ha....
lakin ab zamana teezi sa badal raha ha...ham roz apne ird gird kuch naya kuch mukhtlif hote deakh rahe hen...jese ka kuch mukhtalif fashion.......
jeee haan....! PAKISTAN ma ae din hame koi na koi naya fashion nazar aa raha hota ha.... na sirf khawateen ma balke bachon or mard hazrat ma bhe...
fashion trends waqt or logon ka hisaab sa teezi sa badalte rehte hen..or pakistan ka log khule dill sa har fashion ko apnate hen...ab new fashion trend ko apnana itna mushkil nai...yeh kam media na boht hi asaan kar diya ha..ab ap ghar bethe har qisam ka fashion ko deakh sakhte hen...
JESE AJ KAL...BALOCHI ZEWARAT... media pa chae hue hen...balochi zewarat ka haseen or dillkash design na pakistani ki khawateen ka dilooon pa raaj kiya hua ha..or ajkal ham bari tadad ma kapron ma balochi sakafat ka rang deakh rahe hen....
balochi matha pati larkiyon ma teezi sa maqbool ho rahi ha... jis pa unka kehna ha ka yeh mathe pa saaj ka unke hussun ma chaaar chand laga deti ha..iska ilawa bhe balochi zewarat kafi maqbool hote dekhai dete hen. jis sa is baat ka andaza lagaya ja sakta ha ka ab balochi sakafat ko na srf balochi khawateen balke pure mulk ma khawateen apna rahi hen...
balochi zewarat ka pakistan ma teezi sa maqbool hone ka bad sadder empress market ka dukaan daron ka kehna ha ka balochi zewarat ki khareed o farokht ma izafa hua ha...
PAKISTAN KI KOI MISAAL NAI..
PAKISTAN HAR CHEEZ MA APNI MISAAL AP HA..
HAREEM KHAN....
Friday, 7 October 2016
HAPPY WORLD SMILE DAY....
SMILE... DUNYA ki sab sa qeemiti cheez ha... hasi.. muskurahat.... lakin us waqt is kin qeemat ma or izafa hojata ha jab apki waja sa kisi ka face pa smile aa jae... ji haan yeah kaam ha to bohot mushkil lakin itna bhe nai ka ham na kar saken... isliye hame hamesha koshish karni chaiye ka logo ka ceh`re pa apki waja sa smile aa jae....
Q ka ham sab muslaman hen or kisi muskura kar deakhna bhe hamare liye sadqa e jariya ha to phr to is kam ko ziyada sa ziyada karna chaiye.... iske do faide hen KHUDA BHE ap sa khush rahe ga or KHUDA ka bande b he....or asal khidmat to makhlooq ki hi ha. warna ALLAH kisi cheez ka mohtaaj nai ha.. jate jate jate bhe khubsurat alfaz keh bjane wale AMJAD SABRI SAHAB...
IKTETAAM is jumle ka sath ka zindagi ma kisi ki khushi ki waja ban ka deakhiye...kisi ka che`re pa muskurat..hasi... saja ka deakhiye...
BOHOT SAKOON MILE GA.....
TO MUSKURATE RAHIYE Q KA MUSKURAHAT HAR BEEMARI KA HAR DUKH KA HAR LARAI KA HAR BURAI KA ILAJ HA...
HAPPY WORLD SMILE DAY TO ALL OF YOU...
KEEP SMILING...AND KEEPS OTHER HAPPY...
ALLAH BLESSED YOU ALL...
HAREEM KHAN...
Sunday, 2 October 2016
NAMAK HARAAM MULK.... bharaat..
GOOGLE dunya ka ek behtareen or jani mani website ha..jiska CEO khud ek Bharti ha...iske bawajood google pa namak haram country ko jo jab serch kiya gaya to jawab aaya BHARAT...
JI HAAN india...
sawal yahan yeh paida hota ha kya bharat waki ek namak haram mulk ha?
baat karte hen Kashmir ki...
jahan bharat na azadi ka bad zabardasti qabza karliya..q ka Kashmir ma musalmano kin aksariyat ziyada ha isliya Kashmir Pakistan ka hisa tha... lakin bharat na chalaki sa kahmir pa azadi ka foran bad qabza karliya or wahan apni lakhon ka hisab sa foj utar di...jo aj 70saal tak nihate kahmiriyoon pa zalimana tashadud kar rahe hen..bache ,burhe jawan,aurteen,larkiyaan... aesa koi nai jo bharat ki hawaniyat ka sjikaar hua ho....
Kashmir wo elaqa ha jahan 5 samander aakar milte hen...jis sa pura bharat ka liye bijli paida ki jati ha...wahan ka pani ko pure mulk ma supply kiya jata ha...or to or Pakistan ko pani karne wali dhamki ki waja bhe Kashmir ka wo samander hi hen...
india agar itna hi acha hota to kashmiriyon sa bana kar rakhta wahan aman or salamti hoti lakin sabit bhe to karna tha ka ham namak haram hen isliye usi thaal ma cheed karte hen jisma khate hen...
shame on you....
Wednesday, 24 August 2016
WHY ENGLISH.....
WHY NOT URDU....
WHY NOT URDU....
PAKISTAN 14AUGUST 1947 KO WAJOOD MA AAYA..
hamare buzargoon na unthak mehnat ka baad yeh mulk hasil kiya.. jise Pakistan ka name diya... us na musalmanoo na na sirf angrezoon sa balke hindustaaan sa bhe aalag hokar ek alheda riyasat qahim ki.. zameen,sarhad,log,zaban,sehar, har cheez ka batwara hua...
phr...URDU wajood ma ai...ek alag mulk ka liye ek alag zuban...aesi zuban jo dilon ma utar jati ha..a c zuban jis ka ek ek alfaz ma asar ha....musalamon ka liye Pakistan ka bad yeh dusra tohfa tha URDU ZUBAN..
LAKIN HAYEEE REH QISMAT......angrezoon sa to jaan chura li magar angereezi sa na chura sake... or phr kch saalon bad taraqi karte hi ham phr andhoon ki tarhan unhi chezon ka piche bagne lage jin sa azadi hasil ki thi...or AJ HAM ANGREZI KA GULAM HEN... aese gulam ka English nai aati to job nai mile gi..,English na bolo to sab jahil samjhen ge..,wagera wagera.....
Hamare mulk ka sarbarahaan sa la kar gali ka chote bachen tak bas ENGLISH ka piche bhaag rahe hen....AFSOS ka Urdu kis zubaan ka lafz ha hamari nojawaan nasal is baaat sa bhe ashna nai... AJ hamara MULK jis zawal ka shikaar ha uske zimadar ham khud hen...q ka ham na apni cheezon ko chor kar unhi logon ko apnana shuru kar diya jin sa ham na azadi hasil ki thi...
URDU OFFCIAL LANGUAGE HA....
LAKIN KYA URDU OFFCIAL LANGUAGE HA??
jab tak ham apni pehchan ko nai banae ge...magribi zaban,,magribi tehzeep,,ko apnate rahen ge..jab tak ham kabhi taraqi nai kar sakte...
ALLAH US QOUM KA HALAT KABHI NAI BADALTA..
JO APNE HALAT KO KHUD NAI BADALNA CHATI...
Subscribe to:
Posts (Atom)