every thing is easy.. when u crazy about it....,, ALLHAMDULILLAH FOR EVERY THING..

Friday, 7 October 2016

HAPPY WORLD SMILE DAY....


 SMILE... DUNYA ki sab sa qeemiti cheez ha... hasi.. muskurahat.... lakin us waqt is kin qeemat ma or izafa hojata ha jab apki waja sa kisi ka face pa smile aa jae... ji haan yeah kaam ha to bohot mushkil lakin itna bhe nai ka ham na kar saken... isliye hame hamesha koshish karni chaiye ka logo ka ceh`re pa apki waja sa smile aa jae....

Q ka ham sab muslaman hen or kisi muskura kar deakhna bhe hamare liye sadqa e jariya ha to phr to is kam ko  ziyada  sa ziyada karna chaiye....  iske do faide hen KHUDA BHE ap sa khush rahe ga or KHUDA ka bande b he....or asal khidmat to makhlooq ki hi ha. warna  ALLAH kisi cheez ka mohtaaj nai ha.. jate jate jate bhe khubsurat alfaz keh bjane wale AMJAD SABRI SAHAB...

IKTETAAM is jumle ka sath ka zindagi ma kisi ki khushi ki waja ban ka deakhiye...kisi ka che`re pa muskurat..hasi... saja ka deakhiye...

BOHOT SAKOON MILE GA.....

TO MUSKURATE RAHIYE Q KA MUSKURAHAT HAR BEEMARI KA HAR DUKH KA HAR LARAI KA HAR BURAI KA ILAJ HA...

HAPPY WORLD SMILE DAY TO ALL OF YOU...
KEEP SMILING...AND KEEPS OTHER HAPPY...
ALLAH BLESSED YOU ALL...

HAREEM KHAN...

Sunday, 2 October 2016

NAMAK HARAAM MULK.... bharaat..

GOOGLE dunya ka ek behtareen or jani mani website ha..jiska CEO khud ek Bharti ha...
iske bawajood google pa namak haram country ko jo jab serch kiya gaya to jawab aaya BHARAT...
JI HAAN india...
sawal yahan yeh paida hota ha kya bharat waki ek namak haram mulk ha?

baat karte hen Kashmir ki...
jahan bharat na azadi ka bad zabardasti qabza karliya..q ka Kashmir ma musalmano kin aksariyat ziyada ha isliya Kashmir Pakistan ka hisa tha... lakin bharat na chalaki sa kahmir pa azadi ka foran bad qabza karliya or wahan apni lakhon ka hisab sa foj utar di...jo aj 70saal tak nihate kahmiriyoon pa zalimana tashadud kar rahe hen..bache ,burhe jawan,aurteen,larkiyaan... aesa koi nai jo bharat ki hawaniyat ka sjikaar hua ho....
Kashmir wo elaqa ha jahan 5 samander aakar milte hen...jis sa pura bharat ka liye bijli paida ki jati ha...wahan ka pani ko pure mulk ma supply kiya jata ha...or to or Pakistan ko pani karne wali dhamki ki waja bhe Kashmir ka wo samander hi hen...

india agar itna hi acha hota to kashmiriyon sa bana kar rakhta wahan aman or salamti hoti lakin sabit bhe to karna tha ka ham namak haram hen isliye usi thaal ma cheed karte hen jisma khate hen...

shame on you....

Wednesday, 24 August 2016

WHY ENGLISH.....
WHY NOT URDU....

PAKISTAN  14AUGUST 1947 KO WAJOOD MA AAYA..

hamare buzargoon na unthak mehnat ka baad yeh mulk hasil kiya.. jise Pakistan ka name diya... us na musalmanoo na na sirf angrezoon sa balke  hindustaaan sa bhe aalag hokar ek alheda riyasat qahim ki.. zameen,sarhad,log,zaban,sehar, har cheez ka batwara hua...

phr...URDU wajood ma ai...ek alag mulk ka liye ek alag zuban...aesi zuban jo dilon ma utar jati ha..a c zuban  jis ka ek ek alfaz ma asar ha....musalamon ka liye Pakistan ka bad yeh dusra tohfa tha URDU ZUBAN.. 

LAKIN HAYEEE REH QISMAT......angrezoon sa to jaan chura li magar angereezi sa na chura sake... or phr kch saalon bad taraqi karte hi ham phr andhoon ki tarhan unhi chezon ka piche bagne lage jin sa azadi hasil ki thi...or AJ HAM ANGREZI KA GULAM HEN... aese gulam ka English nai aati to job nai mile gi..,English na bolo to sab jahil samjhen ge..,wagera wagera.....

Hamare mulk ka sarbarahaan sa la kar gali ka chote bachen tak bas ENGLISH ka piche bhaag rahe hen....AFSOS ka Urdu kis zubaan ka lafz ha hamari nojawaan nasal is baaat sa bhe ashna nai...  AJ hamara MULK jis zawal ka shikaar ha uske zimadar ham khud hen...q ka ham  na apni cheezon ko chor kar unhi logon ko apnana shuru kar diya jin sa ham na azadi hasil ki thi...

URDU OFFCIAL LANGUAGE HA....

LAKIN KYA URDU OFFCIAL LANGUAGE HA??

jab tak ham apni pehchan ko nai banae ge...magribi zaban,,magribi tehzeep,,ko apnate rahen ge..jab tak ham kabhi taraqi nai kar sakte...

ALLAH US QOUM KA HALAT KABHI NAI BADALTA..

JO APNE HALAT KO KHUD NAI BADALNA CHATI...           


Thursday, 5 May 2016

MOTHER...

PRECIOUS GIFT OF ALLAH...

MY MOTHER..( MY CRUCIAL PART OF LIFE)

DO you have some one,who is great,spend time with you,cares for you and is an important person? well i do,and thats my lovely mom,reason of my life...my mom is tha most important person in my life.i can not really express how  i feel about her in just word..my mother is my whole life but she is really a big part of it.my whole world does not only revolve around her,but she is tha most influential person who inspires me.. my mother is not  just another women,she is extraordinary,some times i feel that she is just not my mother,she is mother of all childrens because she love all childrens like their own own children.. me and my mom spend a lot of times together my mom talk to me about every thing she tells me what to do and what not to do..
my mom is greatest she know every thing about me infect  better then me..reletives always tell me stories about my birth they tells me  how important i was to my mom.... when i was 3 years old my father passed away  i was too little  but from my childhood to now she does not realized me that i have no father.she always love me like mother and cares me like father..with out my mom i am nothing i can not imagin my life with out her..my morning is start from my mother..my mother is my role modle,she is my best teacher i realized that i could never be where i am today had it not been for tha secrifice  and motivation of my mom...
my mom is tha best mom in tha world my mom is more than a mom she is my bestest friend...she is my life..and always be crucial part of life...

ROLE OF PAKISTANI MEDIA..

AJ kal ki dunya ma media utna hi zarori ha jitna khana or  dusri  zarorat ki cheezen hamare liye zarori hen..media hamari society ko banane ma ek eham kirdar aada kar raha ha. media hamare muashare ki hamari sakafat ki aakasi karta ha. yeh kehna galat na hoga ka media hamari zindagi par boht ziyada asar karta ha..media ka kam logo ko aagahi dena ha m,edia hame ghar bethe hi puri dunya ki saeer karwata ha or mukhtalif logon sa hamari mulakat karwata ha.. ab media kisi bhe cheez ki markiting ka behtareen zariya  ban chuka ha... media ka zariye hi logon ko ghar bethe muktalif cheezon ka bare ma aagahi mill jati ha.. ajkal ka door ma media na in saani dimage par itna asaar kar diya ha ka un sa sochne or samajhne ki salahiyat hi cheen li ha ab jo media hame dikha raha ha ham wohi deakh rahe hen or wohi sochne par majboor hen..
jahan media na logon  ko or society ko badal  dala ha waheen society ko kharab karne ma bhe media ka hi sab sa bara hath ha... aj kal ki nojawan  nasaal par media ka sab sa ziyada asar ha wo na sirf media par aane wali cheezon ko na sirf deakhte hen balke unha foran follow  karna shuru kar dete hen.. yahan tak ka hamare bache bhe media ki personalities ko bohot ziyada follow karne ki koshish karte he ..lakin kya hamara media uski product uski personalities is qabil hen ka unha follw kiya jae..?

 DARAMAS OF OUR MEDIA CHANNALS..

HAMRAE pakistani darams ajkal a c stories or aese character dikha rahe hen jo hamari society ki values  ka or culture ka khilaaf ha...or jis sa hamare logon ko koi lesson bhe nai mil raha..

ADVERTISMENT IN MEDIA CHANNALS...

HAMARE pakistani add jin na ziyada tar dance dikaya ja raha ha..jo hamari values or cultures ka khilaaaf hen... dhood ho, biscuit ho, yeh koi or cheez har cheez ma dance...colour full add zaror hota ha lakin aesa koi message nai hota jis sa hamare bachon motivation mile...
iska ilawa hamare talk shows,,morning shows or baki ncheezen bhe hamari society ma positivity ka zariya bane jisko follow karne sa society ma chang ae..

MEDIA. ko chaiye ka wo apni social responsibility ko pura kare or a c product lae jo hame entertain karne ka sath sath educate bhe karen....

HAREEM KHAN

Saturday, 9 April 2016

HIJAAB..

AN ELEGANT  FASHION TREND...

HAMARI ajkal ki society ma muktalif fashion aate jate rehte hen..kuch fashion trends log bohot ziyada follow karte hen or kuch bohot kam.matlab ab ya baat aam hogae ha ha ka kisi bhe cheez ka trend nikal do log use fashion samaj kar follow karna shuru kar den ge..iski sb sa bari misaal hamare pass HIJAAB ki ha..hijab ab society ka wo fashion trend ban chukka ha jise  har mulk ki or har mazhab sa talaq rakhne wali khawateen khushi sa follow karti ha...

 

ISLAM  ma HIJAB ka matlb apne sir or jism ko dhapna ha....agar 3 ya 4 saal pehle ki baat ki jae to hijab sirf muslim khawateen or larkiyaan ki pehna karti thi,Pakistan ho ya koi bhe dusra bara mulk log yahi samajhte the ka sirf muslman khawateen hijab pehanti hen...lakin 3 4 saal baad HIJAAB ek FASHION TREND ban kar hamare samne aaya... or khawateen or larkiyoon na bari tadad ma ise follow karna shuru kiya...jo larkiyaan sirf is waja sa hijab nai pehanti thi ka us ma koi fashion nai to ab nae nae hijab ka tareekon sa mutasir hokar wo bhe hijab karne lagi..or is baar na sirf muslman khawateen balke HINDU, CHIRSTAN,or dusre mazhab sa taluq rakhne wali  khawateen na bhe is fashion trend ko follow kiya..

HIJAAB ka ab bohot muktalif or khubsurat tareeqa aagae hen jinha larkiyaan bari tadaad ma pehna passand karti hen.. q ka HIJAB na sirf unki hifazat karta ha balke unki personality ma chaar chand laga deta ha... AB  dunya ka kisi bhe mulk ma rehne wali khawateen chahe wo student ho ya office ma kaam karne wali hon HIJAB pehana passnd karti hen.. HIJAB 21 CENTURY  ka behtareen FASHION TREND ban chukka ha...jise bari tadaad ma khawateen or larkiyoon na passnd kiya ha.........

ISLAM MA HIJAB KO BARI AHMIYAT HASIL HA..mere khayal sa HIJAAB ek behtareen FASHION TREND ha jisne muashare ma AURTON ka waqar ko mazeed barhaya ha....

 

HAREEM KHAN....

 

PAKISTANI  TEAM   KI   LAGATAAR   HAAR....

AWAM  SHADEED  GHUM O GHUSSE KA SHIKAAR...



Lafz SHAHEEN jo hamari Pakistan circket team ka liye istaimal hota ha. shaheen wo parinda ha jiski uraan boht unchi ha..Pakistani team ka sath shaheen ka name lagane ka maqsad ya tha ka hamari Pakistani team bhe behtareen karkardagi dekha kar shaheen ki tarhaan uraan bhare..... lakin jab shaheen apni uraan bhool jae to wohi hota ha jo ajkal hamari Pakistani team ka sath ho raha ha...

 

 

Pakistan cricket team Pakistan ma behtareen PSL kehlne ka baad ASIA CUP kehle ka liye rawana hogae or wahan bad tareen khel ka muzahira kiya...INDIA SA TO HAMESHA HARTE HE THE is baar BANGLADASH  na bhe Pakistan ko hara diya uske baad india sa match haar kar Pakistani team khushi khushi wataan wapas aa gae..or bichari awaaam ka hamesha ki tarhan jazba janoon dhara reh gaya.. lakin na hi hamari selection commetti ko khayal aaaya or na PCB ko..

 lahaza hamari Pakistani team  usi performenc ka sath T2O WORLD CUP ka meedaan ma pouchi jis ki mezbani is baar INDIA kar raha tha.. bina kisi tabdeeli or achi tyaari ka ye khel bilkul aesa tha jesa  BINA HATHIYAAR KA MEEDAAN JANG MA KOOD JANA...  pehla match  bangladash ko harane ka baad hamari team aesi sakoon ma aagae jese india ko uske home ground ma final hara diya ho.. bichari awaam ka pass bhe ya khush hone pehla or akhiri moka tha to puri qoam khush hue...or Is khushi ko india ki nazar lag gae...

Pakistan players ka is over confidence ka natijaa aagle hi match ma samne aagaya or wohi purani galtiyaan no leadership..no hardworking..no teamwork... PSL ma sab na apne liye to bohot acha khela lakin mulk ka liye khelne ko koi tyaar nai.. or bil akhirr natijaa wohi hua ka Pakistan ko har match ma baad tareen shikast ka baad wataan wapas aa gae...

or bichari hamesha ki tarhaan dill ka armaan ansoon ma baha kar khamoosh ho gae bichari karti bhe kya... ANDE OR TEEMATAR  sa suhagat karti bhe to koi faida na tha...

Q KA YAHAN MACHI GANDI NAI PURA KA PURA TAALAAB HI GANDA HA...

 

AGAR hamare mulk sa ya parchi system khatam ho jae or un logon ko aage laya jae jo waki hamare mulk ka liye khelyeen to kya hi baat ha.... MA TO DEAKHN GI..TUM BHE DEAKHO GE... JAB SHAHEEN BHARE GE APNI URAAN...

 

HAREEM KHAN...