every thing is easy.. when u crazy about it....,, ALLHAMDULILLAH FOR EVERY THING..

Saturday, 9 April 2016

HIJAAB..

AN ELEGANT  FASHION TREND...

HAMARI ajkal ki society ma muktalif fashion aate jate rehte hen..kuch fashion trends log bohot ziyada follow karte hen or kuch bohot kam.matlab ab ya baat aam hogae ha ha ka kisi bhe cheez ka trend nikal do log use fashion samaj kar follow karna shuru kar den ge..iski sb sa bari misaal hamare pass HIJAAB ki ha..hijab ab society ka wo fashion trend ban chukka ha jise  har mulk ki or har mazhab sa talaq rakhne wali khawateen khushi sa follow karti ha...

 

ISLAM  ma HIJAB ka matlb apne sir or jism ko dhapna ha....agar 3 ya 4 saal pehle ki baat ki jae to hijab sirf muslim khawateen or larkiyaan ki pehna karti thi,Pakistan ho ya koi bhe dusra bara mulk log yahi samajhte the ka sirf muslman khawateen hijab pehanti hen...lakin 3 4 saal baad HIJAAB ek FASHION TREND ban kar hamare samne aaya... or khawateen or larkiyoon na bari tadad ma ise follow karna shuru kiya...jo larkiyaan sirf is waja sa hijab nai pehanti thi ka us ma koi fashion nai to ab nae nae hijab ka tareekon sa mutasir hokar wo bhe hijab karne lagi..or is baar na sirf muslman khawateen balke HINDU, CHIRSTAN,or dusre mazhab sa taluq rakhne wali  khawateen na bhe is fashion trend ko follow kiya..

HIJAAB ka ab bohot muktalif or khubsurat tareeqa aagae hen jinha larkiyaan bari tadaad ma pehna passand karti hen.. q ka HIJAB na sirf unki hifazat karta ha balke unki personality ma chaar chand laga deta ha... AB  dunya ka kisi bhe mulk ma rehne wali khawateen chahe wo student ho ya office ma kaam karne wali hon HIJAB pehana passnd karti hen.. HIJAB 21 CENTURY  ka behtareen FASHION TREND ban chukka ha...jise bari tadaad ma khawateen or larkiyoon na passnd kiya ha.........

ISLAM MA HIJAB KO BARI AHMIYAT HASIL HA..mere khayal sa HIJAAB ek behtareen FASHION TREND ha jisne muashare ma AURTON ka waqar ko mazeed barhaya ha....

 

HAREEM KHAN....

 

PAKISTANI  TEAM   KI   LAGATAAR   HAAR....

AWAM  SHADEED  GHUM O GHUSSE KA SHIKAAR...



Lafz SHAHEEN jo hamari Pakistan circket team ka liye istaimal hota ha. shaheen wo parinda ha jiski uraan boht unchi ha..Pakistani team ka sath shaheen ka name lagane ka maqsad ya tha ka hamari Pakistani team bhe behtareen karkardagi dekha kar shaheen ki tarhaan uraan bhare..... lakin jab shaheen apni uraan bhool jae to wohi hota ha jo ajkal hamari Pakistani team ka sath ho raha ha...

 

 

Pakistan cricket team Pakistan ma behtareen PSL kehlne ka baad ASIA CUP kehle ka liye rawana hogae or wahan bad tareen khel ka muzahira kiya...INDIA SA TO HAMESHA HARTE HE THE is baar BANGLADASH  na bhe Pakistan ko hara diya uske baad india sa match haar kar Pakistani team khushi khushi wataan wapas aa gae..or bichari awaaam ka hamesha ki tarhan jazba janoon dhara reh gaya.. lakin na hi hamari selection commetti ko khayal aaaya or na PCB ko..

 lahaza hamari Pakistani team  usi performenc ka sath T2O WORLD CUP ka meedaan ma pouchi jis ki mezbani is baar INDIA kar raha tha.. bina kisi tabdeeli or achi tyaari ka ye khel bilkul aesa tha jesa  BINA HATHIYAAR KA MEEDAAN JANG MA KOOD JANA...  pehla match  bangladash ko harane ka baad hamari team aesi sakoon ma aagae jese india ko uske home ground ma final hara diya ho.. bichari awaam ka pass bhe ya khush hone pehla or akhiri moka tha to puri qoam khush hue...or Is khushi ko india ki nazar lag gae...

Pakistan players ka is over confidence ka natijaa aagle hi match ma samne aagaya or wohi purani galtiyaan no leadership..no hardworking..no teamwork... PSL ma sab na apne liye to bohot acha khela lakin mulk ka liye khelne ko koi tyaar nai.. or bil akhirr natijaa wohi hua ka Pakistan ko har match ma baad tareen shikast ka baad wataan wapas aa gae...

or bichari hamesha ki tarhaan dill ka armaan ansoon ma baha kar khamoosh ho gae bichari karti bhe kya... ANDE OR TEEMATAR  sa suhagat karti bhe to koi faida na tha...

Q KA YAHAN MACHI GANDI NAI PURA KA PURA TAALAAB HI GANDA HA...

 

AGAR hamare mulk sa ya parchi system khatam ho jae or un logon ko aage laya jae jo waki hamare mulk ka liye khelyeen to kya hi baat ha.... MA TO DEAKHN GI..TUM BHE DEAKHO GE... JAB SHAHEEN BHARE GE APNI URAAN...

 

HAREEM KHAN...